Yahaan pyar ki baatein hoti hai,
nafrat ko mitaaya jaata hai,
miljul ke yahaan sab rehate hain,
dil-dil se milaya jaata hai.
Takdeer ke maare bandon ki,
takdeer banaai jaati hai,
dar-dar pe bhatakane waalon ko,
Guru ji se milaya jaata hai.
Har mod pe humko milate hain,
dil todane waale duniya mein,
iss dar pe sabhi ke zakhmon pe,
maraham ko lagaaya jaata hai.
Ye bande hain imaan waale,
imaan ki baatein kartein hain.
manavta bhaichare ka,
yahaan paath padhaya jaata hai.
Murshad ka karam hai hum sab par,
hum Eid manaatein hain har din,
Jannat se bhi jo pyara hai "Jagat",
darbaar sajaaya jaata hai.
nafrat ko mitaaya jaata hai,
miljul ke yahaan sab rehate hain,
dil-dil se milaya jaata hai.
Takdeer ke maare bandon ki,
takdeer banaai jaati hai,
dar-dar pe bhatakane waalon ko,
Guru ji se milaya jaata hai.
Har mod pe humko milate hain,
dil todane waale duniya mein,
iss dar pe sabhi ke zakhmon pe,
maraham ko lagaaya jaata hai.
Ye bande hain imaan waale,
imaan ki baatein kartein hain.
manavta bhaichare ka,
yahaan paath padhaya jaata hai.
Murshad ka karam hai hum sab par,
hum Eid manaatein hain har din,
Jannat se bhi jo pyara hai "Jagat",
darbaar sajaaya jaata hai.
No comments:
Post a Comment